रविवार, 2 मई 2010

मेरी जिन्दगी के पांच दिन

jindgi me kuch pal eise aate hai, jab ush pal me kiya gaya kaam hamain itana kuch sikha jata hain , jitna hum saal do saal ki mehnat me bhi nahi sikh paate haain.eisa hi avasar mujhe mila. jab hamaare department ne "sanchar takniki aur television programme production" shirshakm par five days workshop ka aayojan hua. yah workshop 8-04-10 se 12-04-10 tak chala. isame indraprasth university delhi se abhishek srivastva, amity university lucknow se durgesh pathak aur jansandesh channel ke anchor rahul rajput aur electronik editor shailesh maurya bataur prashicchak aaye.
mujhe. mujhe first 2 days kaaphi achachha laga. jab abhishek sir ne advertisment ke saath- saath media ke anchhue area ke baarain me bataya ansadhano avam time ke abhaav ke karan unhone kam samay me print aur electronic advertisment banana bataya.rahul sir ne hum logo ko anchoring, vo aur ptc ke gur sikhaye. isake saath hishabdo ka sahi pronaunciesion karana bhi bataya.
durgesh sir aur shailendra sir ke ssath milkar short movie banana kaaphi achchh laga.lekin isase hatkar ek baat jaha tak mujhe samajh me aayi vo ye hai ki hamara confidens bada.esa laga ki hum aage badkar ek mukam hasil kar sakte hain.bas jarurat
hain to apne andar ke us daar ko khatm karne ki jo hame rok raha hai.

कोई टिप्पणी नहीं: